Gazal:
Poet: Makhmor saeedi
(1938-
Kitni diwareN OTHI HAIn ek ghar ke
darmiyaN
Ghar kaheN gum ho gaya dewar o dar
ke darmiyaN
Ek sa’at thi ke sadyoN tak safar
karti rahi
Kuch zamane the ke guzre lamha
bhar ke darmiyaN
War wok arte raheN ge zakham ham
khate raheN
He yahi rishta porana sang o sar
ke darmiyaN
Kya kahe har dekhne wale ko aakhir
chup lagi
Gum tha manzar ekhtilafat e nazar
ke darmiyaN
bastoyaN makhmor yoN ojdeN ke sehra ho gayeN
fasle badhne lage jab ghar se ghar
ke darmiyaN
0 comments: