GAZAL
ZAHOR NAZAR
NAME:ZAHER
AHMAD
Takhallus: NAZAR (1981-1923)
Depak rag he chahat apni ka he sonayeN tumheN
Ham to solagte hi rahte haiN kyoN solgayeN tumheN
Tarke muhabbat tarke tamanna kar chokne ke bad
Ham pe ye moshkil aan padi he kaise bholaeN tumheN
Dil ke zakham ka rang to shayad aankhoN main bhar aye
Rooh ke zakhmoN ki gehrai kaise dekhayeN tumheN
Dar hamari mehromi ka tum tab jano ge
Jab khane aye gi chop ki sayeN sayeN tumheN
Sanata jab tanhai ke zaher main bajhta he
Wo gadhyaN kyonkar kat ti haiN kaise batayeN tumheN
Jin baton ne piyar tumhara nafrat main badla
Dar lagta he wo bateN bhi bhol na jayeN tumheN
Pas hamare aakar tum begana se kyoN ho?
Chaho to ham phir kuch dori par chod ayeN tumheN
Onhoni ki chint honi ka anyaye nazar!
donoN beri haiN jiwan ke ham samjhayeN tumheN