Thursday, June 20, 2013

shabeena adeeb ki lajawab gazal laut aao bhula kar khataen meri

shabeena adeeb ki lajawab ghazal




laut aao bhula kar khataen meri 
rah me dil bicha dun agar tum kaho

eed ka chand nikla sajee har gali
me bhi ghar ko sajadon agar tum kaho

jang se mulk jete gaye hain sada
pyar se jeet leta hai dil aadmi

ye tumhari nigahoN me nafrat hai jo
is ko chahat banaduN agar tum kaho

kya kaha ye andhere na mit payenge
kya kaha roshni ab na ho payegi 

de ke dil ka ujala charagon ko me
rat ko din banadun agar tum kaho

wo junuN kya hua wo wafa kya hue
ab to chudi bhi lane ki fursat nahee

kis mohabbat se kal tak ye kehte the tum 
chand tare bhi laduN agar tum kaho

sab yahan par hain apne paraye nahee
aur apnon se kuch bhi chupate nahee

zikr jis me tumhari jafaon ka hai 
wo gazal bhi sunaduN agar tum kaho


Read Also 



shabeena adeeb ki gazal kabhi dupatte ka kona bhi nam nahee hota


shabeen adeeb ki gazal 
shabeen adeeb ki ghazal
shabeena adeeb ki ghazal

kabhi dupatte ka kona bhi nam nahee hota
jahan ho pyar wahan koi gham nahee hota

bichad ke donoN ko isbaat ka yaqeen hua
ke door rehne se bhi pyar kam nahee hota