Thursday, July 4, 2013

Monday, June 17, 2013

ghazal by dr meena naqvi

ghazal  by dr meena naqvi
ghazal 
by dr meena naqvi

ye mat samajhna faqeer hu'n mai..
ana ke haq mai kaseer hu'n mai...

mujhe sitaara samajhne valo'n ..
falak pe badr e muneer hu'n mai

haqiqate'n mujh mai khemazan hai'n..
sadaqat'o'n ki safeer hu'n mai...

hai munsafi mere dam se qayam...
adalato'n ki musheer hu'n mai...

misaal merei nahi'n milegi..
k aap apni nazeer hu'n mai..

hai mujh mai zanjeer chahato'n ki...
mohabbato'n ki aseer hu'n mai..

sja hai  shero'n mai dard ''meena''...
ghazal ke lehje ki  meer hun mai

Thursday, May 16, 2013

tasleem niyazi ki urdu gazal

urdu gazal
urdu gazal by tasleem niyazi
gazal 
BE-CHAIN KAL THE TUM BHI SO KAHNE ME SHARM KIUN
JAGE NA RAT BHAR TOYE ANKHON PA WARM KIUN
KUCHH JAL RAHA HAI DIL KE NIHAN KHANE ME ZARUR
WARNA BADAN TUMHARA HAI IS DARJA GARM KIUN
YA RAB TERE JAHAN ME HAI KIUN IS QADAR TAZAD
US SANGDIL KE LAB HAIN GULON SE BHI NARM KIUN
MUJHKO MILA HAI SHOQ TO KIUN MU'TARIZ HAIN AP
KAHIE KE DI HAI APKO QUDRAT NE SHARM KIUN
TASLIM TERE SHAHR-E-SITAMGAR ME AJKAL
BAZAR-E-ILTIFAT-O-INAYAT HAI GARM KIUN
(Taslim Neyazi)
 

Saturday, May 11, 2013

jism ki raakh mayn dil aik sharary ki misaal malik ezaz ain ki gazal





gazal 

jism ki raakh mayn dil aik sharary ki misaal
mairi raatoN k andhairy mayN sitary ki misaal

mujhy khawaboN mayN koi heer milli hi jab say
mayN ny sab chhor dia takhat hazarry ki misaal 

khood ko rakhta hi woh behty hovy darya ki tarah 
joo mujhy rakhta nahi saath kinaryy ki misall

aain pal bhar ka bharossa nahi karna us par 
zindgi hi he hawaooN myN ghabaary ki miisaal

MALIK AIZAZ AAIN

Thursday, April 25, 2013

wo jo chahaton ka sarab hai by zeeshan hyder

best ghazal of zeeshan hyder
hazrat zeeshan hyder ki ghazal
ghazal by zeeshan hyder

wo jo chahaton ka sarab hai tera khab hai mera khab hai 
ye khumar misl e habab hai tera khab hai mera khab hai 

nahe mahtab e chman to kya mujhe lazzat e shab e taar ko
ye charag hai wo sahab hai tera khab hai mera khab hai 

rah e dasht karb o bala ko ab zara dekh hadd e nigaah tak 
wo jo dard e rang e gulaab hai tera khab hai mera khab hai 

wo nafas nafas meri dhadkanon ke rabab se hai mila hua
jo suroor e mauj e sharab hai tera khab hai mera khab hai 

use padh ke hi to qalandaron ko shuur e ishq o junun mila
jo kitaab e dil ka nisaab hai tera khab hai mera khab hai 

yeh safar bhi ay mere ham rakab yahi samajh ke guzar de
ye jo dasht hai yeh jo aab hai tera khab hai mera khab hai 

tere ashk e sail e rawan ko me isi leye nahe rokta
teri chasm e nam me jo taab hai tera khab hai mera khab hai