Tuesday, March 26, 2013

Friday, March 8, 2013

parveen shakir ki gazal

parveen shakir ki gazal

GAZAL
Parvenu shaker  
name:PARVEN SHAKER
(1994-1952)
badbaN khulne se pehle isharah dekhna
me samandar dekhti hoN tum kinarah dekhna
yoN bichadna bhi  asaN na tha is se magar
jate jate is ka wo modh kar dobarah dekhna
kis shabahat ko liye aaya he darwae pe chand
aye shab hijraN! Zaara apna sitarah dekhna
kya qiyamat he ke jin ken am pe paspa hoe
un hi logon ko moqabil me saf saf aara dekhna
jab banam dil gawahi sar ki mangi jaye gi
khon me doba hoa parcham hamara dekhna
jitney me bhi ji ka ziyaN pehle se he
aisi bazi harne main kya khasara dekhna
aayne ki aankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhaye ga tumhara dekhna
ek mushte khak aur bhi hawa ki zad me he
zindagi ki be basi ka istiarah dekhna

Thursday, February 7, 2013

parveen shakir sad poetry

parveen shakir sad poetry
parveen shakir farmati haiN

mai sach kahungi lekin phir bhi har jaungi
wo jhoot keh ke muje lajawab kardega

ko ba ko phail gai bat shanasai ki 
us ne khusbo ki tarah meri pazirai ki

wo jahaN bhi gaya lauta to mere pas aaya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki

kaise kehdoN ke mujhe chod diya hai usne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki