20 mothers day poems and Shayari by Munavvar rana
1
Mukhtasar hote hoe bhi zindagi badh jayegi
maan ki anken choom lijiye roshni badh jayegi
2
kal apne aap ko dekhat tha maan ki ankhone me
ye aina hameen budha nahee batata hai
|
20 mothers day poems and Shayari by Munavvar rana |
3
wazarat bhi hamare waste kam martaba hogi
ham apni maan ke hathon me niwala chod aye hain
4
itni bharpoor zamant koi kam deti hai
chain se sota hun maan padhti hai dam deti hai
5
ek ek qatra mere doodh ka wapas karna
jang par jate samay maan ye qasam deti hai
6
hanste hoye man baap ki gali nahee khate
bache hain to kyun shauq se mitti nahee khate
7
mujhe bas is liye bahar achi lagti hai
ke ye bhi maan ki tarah khush gawar lagti hai
8
maine rote huye ponche the kisi din ansu
muddaton man ne dhoya nahee dupatta apne
9
laboN pe us ke kabhi bad dua nahee hoti
bas ek maan hai jo mujh se khafa nahee hoti
10
purana peed buzargon ki tarah hota hai
yahee bohot hai ke taza hawayen deta hai
20 mothers day poems and Shayari by Munavvar rana
11
jab talak raha hun dhoop me chadar bana raha
meN apni MaaN ka akhri zewar bana raha
12
mujhe bhi us ki judai satati hai
use bhi khawab me beta dikhai deta hai
13
gale milne ko apas me duayen roz ati hain
abhi masjid ke darwaze pe mayeeN roz ati hain
14
kabhi kabhi mujhe yun bhai azaN bulati hai
shareer bache ko jis tarah maan bulati hai
15
kisi ki ghar mila hisse me ya koi dukaan ayi
me ghar me sab se chota tha mere hisse me maaN ayi
16
is tarah mere gunahon ko wo dhodeti hai
maaN bohot gusse me hoti hai to rodeti hai
17
khud ko is bheed me tanha naheen hone denge
maaN tujhe ham abhi boodha naheen hone denge
18
nikalne hi naheen deti hain ashkon ko meri ankehn
ke ye bache hamesha maaN ki nigrani me rehte hain
19
yaheen rahunga kaheen umar bhar na jaunga
zameen maaN hai ise chod kar najaunga
20
abhi zinda hai maaN meri mujhe kuch bhi nahee hoga
meN ghar se jab nikalta hun dua bhi saath chalti hai
Must read: