happy mothers day 2016 poems in Urdu and Hindi
Ye aisa qarz hai jo me ada kar hi nahee sakta
me jab tak ghar na lautun meri maan sajde me rehti hai
yaron ko masarrat meri daulat pe hai lekin
ek maaN hai jo bas meri khushi dekh ke khush hai
samjho ke wo sirf jism hai JaaN nahee rahi
vo shaks jo ke zinda hai maan nahee rahi
------
lipat jata hun maaN se aur mausi muskurati hai
me urdu me ghazal kehta hun aur hindi muskurati hai
jo bhi daulat thi wo bachon ke hawale kardi
jab talak me naheen baithun ye khade rehte hain
barbaad kardiya hamen pardes me magar
maaN sab se kehrahi hai ke beta maze me hai
----
mera bachpan tha mera ghar tha khilone the mere
sar pe maaN baap ka saya bhi gazal jaisa tha
khane ki cheezen maan ne jo bheji hain gaun se
basi bhi hogai hain to lazzat wahi rahi
me wo mele me bhatakta hua wo bacha hun
jis ke maaN baat ko rote hue marjana hai
0 comments: