mirza ghalib ki muntakhab gazlen
mirza ghalib is the most popular poet of urdu and hindi language,he wrote only one deewan e ghalib in urdu,he was wrote poetry in persian language also,creativity in Letter writing is the achievement on ghalib and it is unforgettable achievement.we are presenting some selected poetry of ghalib here hope you will enjoy with that.
Ghazal No 1
Ye na thi hamari qismat ke wisal e yaar hota
agar aur jete rehte yahi intezar hota
tere wade pe jiye ham to ye jaan choot jana
ke khushi se mar na jate agar etebar hota
koi mere dil se puche tere teer e neem kash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
ye kahan ki dosti hai ke bane hain dost naseh
koi chara saz hota koi gham gusar hota
kahun kis se main ke kya hai shab e gham buri bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
hue mar ke ham jo ruswa hue kyun na gharq e darya
na kabhi janaza uthta na kaheen mazar hota
use kon dekh sakta ke yagana hai wo yakta
jo doi ki bu bhi hoti kaheen do char hota
ya masail e tasawwuf ye tera bayan ghalib
tujhe ham wali samajhte kaheen do char hota
ghazal of ghalib in urdu image
Ghazal No 2
Dard minnat kashe dawa na hua
koi acha hua bura na hua
jama karte ho kyun raqibon ko
ek tamasha hua gila na hua
kitne sheren hain tere lab ke raqeeb
galiyan kha ke be maza na hua
hai khabar garam un ke ane ki
aaj hi ghar me boriya na hua
jan di di hui usi ki thi
haq to ye hai ke haq ada na hua
zaqm gar dab gaya lahu na thama
kaam gar ruk gaya rawana hua
kuch to padhiye ke log kehte hain
aaj hi ghalib ghazal sara na hua
Ghazal 3
(Sirf 2 Sher)
ishrat e qatra hai darya me fana hojana
dar ka had se guzarna hai dawa hojana
bakhse hai jalwae gule zauq e tamasha ghalib
chasm ko chahiye har rang me wa hojana
Ghazal No 4
Dil hi to hai na sang o khisht dard se bhar na aye kyun
royenge ham hazar bar koi hamen rulaye kyun
dair naheen haram naheen dar naheen astan naheen
baithe hain rahguzar pe ham ghair hamen uthye kyun
dishnae ghamzaye jan sitan nawak e naz e bepanah
tera hi aks e rukh sahe samne tere aye kyun
qaid e hayat e band o gham asl me donoN ek hain
maut se pehle admi gham se najat paye kyun
han wo nahee khuda parast jao wo bewafa sahee
jis ko ho deen o dil azeez us ki gali me jaye kyun
ghalib e khasta ke baghair konse kaam band hain
roiye zar zar kya kijiye haay haay kyuN