Ghazal by Tarannum kanpuri
bahar surat yahan jashne baharan ho ho jata hai
chamak jati hai jab bijli charagan ho hi jata hai
tera faiz e massehai nahee mera sukoon e dil
ke had se badh ke aakhir dard darman ho hi jata hai
agar himmat shikista ho agar ho azm na mohkam
to paida daman e sahil se toofan ho hi jata hai
teri talqeen zate gham ka ham ko pass karte hain
magar chehre se dil ka gham numayan ho hi jata hai
tarannum un ko kyun apni pareshnai pe hairat hai
pareshan karne wala khud pareshan ho hijata hai
Must Read: