GAZAL
KHATIR GAZNAVI
name: MUHAMMAD
IBRAHEM BEG
Takhallus: KHATIR
(……..1925)
Go zara si bat par
barsoN ke yarane gaye
Lekin itna to hoa
kuch log pehchane gaye
Garmie mehfil faqat
ek nara masta he
Aur wo khosh haiN
ke is mehfil se diwane gaye
Mai ise shohrat
kahoN ya apni roswai kahoN
Mujh se pehle is
gali main mere afsane gaye
yoN to meri rage
jaN se bhi the nazdek tar
aansowoN ki dhond
main lekin na pehchane gaye
wahshateN kuch is
tarah apna moqadar hogayeN
ham jahaN pahonche
hamare sath werane gaye
ab bhi un yadoN ki
khoshboN zahen me mahfoz he
barha ham jin se
gulzaroN ko mehkane gaye
kya waqt he ke
khatir kashtaye shab bhi the ham
sobah bhi aayi to
mujrim ham hi gardane gaye