Monday, March 11, 2013

GAZAL OF KHATIR GAZNAVI


GAZAL
KHATIR GAZNAVI 
name: MUHAMMAD IBRAHEM BEG
Takhallus:  KHATIR     (……..1925)
Go zara si bat par barsoN ke yarane gaye
Lekin itna to hoa kuch log pehchane gaye
Garmie mehfil faqat ek nara masta he
Aur wo khosh haiN ke is mehfil se diwane gaye
Mai ise shohrat kahoN ya apni roswai kahoN
Mujh se pehle is gali main mere afsane gaye
yoN to meri rage jaN se bhi the nazdek tar
aansowoN ki dhond main lekin na pehchane gaye
wahshateN kuch is tarah apna moqadar hogayeN
ham jahaN pahonche hamare sath werane gaye
ab bhi un yadoN ki khoshboN zahen me mahfoz he
barha ham jin se gulzaroN ko mehkane gaye
kya waqt he ke khatir kashtaye shab bhi the ham
sobah bhi aayi to mujrim ham hi gardane gaye

0 comments: