GAZAL
HIMAYAT ALI SHAYER
NAME:MER
HIMAYAT ALI
Takhallus: SHAYER
(……1930)
Har qadam pe nit
naye sanche main dhal jate haiN log
Dekhte hi dekhte
kitne badal jate haiN log
Kis liye kijiye kis
gum gashta jannat ki talash
Jab ke miti ke
khilonoN se pehal jate haiN log
Kitne sada dil haiN
ab bhi sun ke awaze jars
Pesh o pas se be
khabar ghar se nikle jate haiN log
Apne apne saye sar
neyodhaye ahista kharam
Jane kis manzil ki
janib aaj kal jate haiN log
Shama ki manind
ahle anjuman se be niyaz
Aksar apni aag main
chop chap jal jate haiN log
Shayer inki dosti
ka ab bhi dam bharte haiN aap
thokareN kha kar to
sonte haiN sabhal jate haiN log
0 comments: