GAZAL
HAFEZ JALANDHARI
NAME:
MUHAMMAD HAFEZ
Takhallus: HAFEZ
(1982-1900)
Ham hi me thi koi
bat yad na tum ko aa sake
Tum ne hameN bhola
diya ham na tumheN bhola sake
Tum hi na sun sake
agar qissae gam sone ga kon
Kis ki zubaN khole
gi phir ham na agar sona sake
Hosh me aachoke the
ham josh me achoke the ham
Bazm ka rang dekh
kar sar na magar otha sake
Ronaq bazm ban gaye
lab pe hikayateN raheN
Dil main shikayateN
raheN lab na magar hila sake
Shoqe wisal he lab
pe sawal he yahaN
Kis ki majal he
yahaN ham se nazar mila sake
Ejz se aur badh gai
barhami mizaje dost
Ab wok are ilaje
dost jis ki samajh main sake
Ahle zubaN to haiN
bahut koi nahiN he ahle dil
Kon teri tarah
Hafez dard ke geet ga sake