Wednesday, February 27, 2013

fahmeeda riyaz ki mashoor nazm lawo hath apna lao zara

fahmeeda riyaz ki mashoor nazm lawo hath apna lao zara

Nazm
LAO HAT APNA LAWO ZARA
Poet: Fahmedah riyaz
Lawo hat apna lawo zara
Choke mera badan
Apne bache ke dil ka dhadakna suno
Naf kea is taraf
Us ki jumbish ko mahsos karte ho tum?
Bas yaheN choddo
Thodi der aur is hat ko mere thande badan par yaheN
Chod do
Mere be kal nafs ko qarar aagaya
Mere esa! Mere dard ka charagar
Mera har moe tan
Is hateli se taskeen pane laga
Is hateli ke niche mera lal karvat si lene laga
ungliyoN se badan is ka pehchan lo
tum ise jan lo
chomne do mujhe apni ungliyaN
in ki har por ko chomne do mujhe
nakhuno kolabu se lagaloN zara
is hateli me munh chupaloN zara
phol lati hoe ye hari ungliyaN
mere aankhoN se aanso oblate hoye
un se senchoN gi mai
phollati hoi ungliyoN ki jadeN
chomne do mujhe apne bal apne mathe ka chand apne lab
ye chamakti hoe kali aankheN
muskurati ye heran aankheN
mere kanpte hont meri chalakti hoe aankh ko
dekh kar kitni heran haiN
tum ko malom kya…tum ko malom kya
tum ne jane mujhe kya se kya kardiya
mere andar andhere ka aaseb tha
ya karaN ta karaN ek anmet khala
yoN hi phirti thi main
zest ke zaeqe ko tarsi hoe
dil me aanso bhare sab pe hansti hoi
tum ne andar mera is tarah bhardiya
phonti he mere jism se roshni
sab moqaddas kitabean jo nazil hoeN
sab payambar jo ab ta kotare gaye
sab fareshte ke hiN badaloN se pare
rang sanget sur phol kaliyaN shajar
subah dam peed ki jholti daliyaN
un ke mafhom job hi batae gaye
khak par basne wale bashar ko masarrat ke jitney bhi nagme
sunaye gaye
sab rashi sab muni ambiya awliya
khair ke dewta husn neki khuda
aaj sab mujhe
etibar aagaya….etibar aagaya