teri wafa ka maa'l kya ho ye sochna bhi rawa nahi hai
wafa ke bande wafa kiye ja wafa ka koi sila nahi hai
maa'l se meniyaz hokar kuch is tarah mahv e bandagi huN
ke rahatoN ki khushi hai lekin musibatoN ka gila nahi ha...
teri wafa ka maa'l kya ho ye sochna bhi rawa nahi hai
