Thursday, March 7, 2013

baqi siddiqi ki gazal Dag dil ham ko yad ane lage

baqi siddiqi ki gazal Dag dil ham ko yad ane lage

GAZAL
BAQI SIDDIQI 
name: Muhammad afzal ali
 Takhallus:  BAQI (1972-1919)
Dag dil ham ko yad ane lage
Log apne diye jalane lage
Kuch na pakar bhi mutmaen haiN ham
Ishq me hat kya khzane lage
Khud farebi si khud farebi he
Pas ke dhol bhi suhane lage
Ab to hot he har qadam pe gumaN
Ham ye kaisa qadam othane lage
Is badalte hoe zamane main
Tere qisse bhi kuch porane lage
Rokh badalne laga fasane ka
Log mehfil se oth ke jane lage
Ek pul main wahaN se hamothe
Bethene me jahaN zamane lage
Apni qismat se he mafar kis ko
Teer par ad ke bhi nashane lage
Ham tak aye na aye mosam e gul
Kuch parinde to chehchahane lage
Sham ka waqt ho gaya baqi
bastiyoN se sharar aane lage