GAZAL
ASLAM ANSARI
name: ASLAM
ANSARI
(…..1940)
main ne roka bhi nahiN aur wo
tehra bhi nahiN
hadisa kyat ha jise dil ne
bholaya bhi nahiN
jane waloN ko kahaN rok saka he
koi
tum chale ho to koi rokne wala
bhi nahiN
dor o nazdek se otha nahiN shor e
zanjir
aur sahra main koi naqsh e kaf e
pa bhi nahiN
gul bahar rang tabassom ka gunah
gar raha
zakhm e hasti ka siwa is ke madwa bhi nahiN
kon sa mod he kyoN pawo pakadti
he zamiN
is ki basti bhi nahiN koi pokara
bhi nahiN
beniyazi se sabhi qarya e jaN se
guzre
dekhta koi nahiN he ke tamasha
bhi nahiN
wo to sadyoN ka safar kar ke
yahaN pahuncha tha
to ne munh pher ke jis shaks ko
dekha bhi nahiN