Gazal:
ADA JAFARI
name: AZEZ JAHAN
Takhllos:ADA
(………1924)
hontoN pe kabhi un kea mera nam
hi aaye
aaye to sahi bar sare ilzam hi
aaye
hairan haiN lab bastah haiN
dilger haiN gunche
khushbo ki zubani tera pegam hi
aaye
lamhat e massarat haiN tasawor se
gurezaN
yad aaye haiN jab bhi gam o aalam
hi aaye
taroN se saja leN ge rah e shaher
e tamanna
maqdor nahiN subah chalo sham hi
aaye
kya rah badalne ka gilah ham
safaroN se
jis rah se chalet ere dard baham
hi aaye
thak har bête haiN sar e koye
tmanna
kam aaye to phir jazba e nakam hi
aaye
baqi na rahe sakh ada dasht jonoN
ki
dil main rahe agar andesh e anjam
hi aaye