Tuesday, July 30, 2013

Roshan jamal e yar se he anjuman tamam Dehka hoa he atish gul se chaman tamam

HASRATH MOHANI

Roshan jamal e yar se he anjuman tamam

Dehka hoa he atish gul se chaman tamam



Hairat goror husn se shokhi se iztirab

Dil ne bhi tere sikh liye haiN chalan tamam

Allah ri jism yar ki khobi ke khod bakhod

ranginiyoN me dob gaya perahan tamam

dekhoN to chashm e yar ki jado nigahiyaN

be hosh ek nazar me hoi anjuman tamam

nashonuma ye sabzah e gul se bahar me

shadabiyoN ne gher liya he chaman tamam

acha he ahle jor kiye jayeN sakhtiyaN

phelegi yoN hi shorish hub e watan tamam

sherini naasem he soz o gudaz meer

hasrath tere sukhun pe he lutf sukhan tamam

0 comments: