HASRATH MOHANI
Nigah e yar jise ashnaye raz kare
Wo apni khobi qismat pe kyoN na naz kare
diloN ko fikir do aalam se kardiya aazad
tere junoN ka khuda silsilah daraz kare
khirad ka nam junu padgaya junu ka khirad
jo chahe aap ka husn karishma saz kare
tere sitam se my khush hoN ke galiban yoN bhi
mujhe wo shamil arbab imtiyaz kare
gham e jahan se hoN jis ko faragh ki khahish
wo un ke dard e muhabbat se sazbaz kare
ommidwar haiN har simth aashiqoN ke guroh
teri nigah ko allah dil nawaz kare
tere kam ka sazawar tu nahiN hasrath
ab age teri khoshi he jo sarfaraz kare

0 comments: