Fani Bidayoni
gazal
Kuch bas hi na tha warna ye elzam na lete
Ham tujh se chopa kar bhi tera nam na lete
nazreN na bachana then nazar mujh se mila kar
pegam na dena tha to pegam na lete
kya umar me ek aah bhi bakhshi nahiN jati
ek sans bhi kya aap ke nakam na lete
qabu hi gam e ishq pe chalta nahiN warna
ehsan gam gardish aayam na lete
ham haiN wo bala dost ke gulshan ka to kya zikir
jannat bhi bajaye qafas wa dam na lete
teri hi raza aur thi warna tere basmal
talwar ke saye me bhi aaram na lete
ek jabar he ye zindagi ishq ke fani
ham muft bhi ye aish gam anjam na lete
0 comments: