Fani Bidayoni
gazal
Khoshi se ranj ka badla yahaN nahiN milta
Wo mil gaye to mujhe asmaN nahiN milta
Hazar dhondiye is ka nishaN nahiN milta
jabiN mile to mile aastaN nahiN milta
bhadak ke shoal gul to hi ab lagade aagh
ke bijliyoN ko mera aashiyaN nahiN milta
majaz aur haqeqat kuch aur he yani
teri nigah se tera bayaN nahiN milta
wo bad gumaN ke mujhe tab ranj zeesth nahiN
mujhe ye gam keg am e jawidaN nahiN milta
teri talash ka filjumlah ma hasal ye he
ke tu yahaN nahiN milta wahaN nahiN milta
mujhe bula ke yahaN aap chup gaya koi
wo mehmaN hoN jise mezbaN nahiN milta
mujhe azeez sahi qadr e dil tumheN kiyoN ho
kami to dil ki nahiN dil kahaN nahiN milta
diyar e umar me ab qahat mahar he fani
koi ajal ke siwa meherbaN nahiN milta
0 comments: