gazlen
by dr nawaz deobandi
pehli gazal
manzil pe na pohonche use rasta nahee kehte
do char qadam chalne ko chalna nahee kehte
ek ham hain ke gairon ko bhi kehdete hain apna
ek tum ho ke apnon ko bhi apna nahe kehte
kam himmati hai samandar ke safar me
tufan ko ham dost to khatra nahee kehte
ban jaye agar baat to sab kehte hain kya kya
aur baat bigad jaye to kya kya nahee kehte
dusri gazal
jo hai is charag ki zindagi usi zindagi ke khilaf hai
ya charag kaisa charag hai jo roshni ke khilaf hai
ye jaladiya wo bujha diya ye to kaam hai kisi aur ka
na hawa ke koi khilaf hai na hawa kisi ke khilaf hai
wo hai bewafa to wafa karo jo asar na ho to dua karo
jise chaho us ko bura kaho ye to dosti ke khilaf hai
wo jo mere gham me shareek tha jise mera gham bhi azeez tha
me jo khush hua to pata chala ke wo meri khushi ke khilaf hai
0 comments: