chand behtareen ashar
by :dr nawaz deobandi
jin par luta chuka tha me dunya ki daulaten
un warison ne mujhe kafan naap kar diya
ya karam bhi kam nahee ham par tera rabba kareem
barhana paida hue malboos dafnaye gaye
nekiyaN kam pad rahi theen namae aamal me
shukr hai ke dushmanoN ki galiyaN kaam aa gayeeN
hawa khilaf chali to charag khoob chala
khuda bhi hone ke kya kya suboot deta hai
raz pohonche hamare gairon tak
mashwara kar liya tha apnon se
kuch dostoN ko ham ne nibhaya bohot dinoN
ghate ka karobar chalaya bohot dinoN
har ek sitam pe dad di har zakhm par dua
ham ne bhi dushmanoN ko sataya bohot dinoN
tujh se bichad ke teri qasam khush nahee rahe
dunya to kya hai khud se bhi ham khush nahee rahe
dushman hamari har pe khush the bohot miyan
lekin hamare dost bhi kam khush nahee rahe
manzar bhala tha phir bhi nazar ko bura laga
dewar o dar ko sare hi dar ko bura laga
khushal hona mera azeezon se puchiye
patta hara hua to shajar ko bura laga
Must read:
GHAZAL
TERE ANE KI JAB KHABAR MEHKE
TERI KHUSBOO SE SARA JAHAN MEHKE
Shaam ke terte tasawwur se
shaam ke baad sara jahan mehke
Raat bhar sochta raha tujhko
Zehno dil mere raat bhar mehke
Yaad ayi to dil munavvar ho
deed ho jaye to nazar mehke
wo ghadi do ghadi jahan baithe
wo zameeN mehke wo shajar mehke
0 comments: