GAZAL
SHAD AZEEM ABADI
NAME: SAYED ALI
MUHAMMAD
Takhallus: SHAAD (1927-1846)
Dhondo ge agarmolkoN molkoN milne ke nahiN nayab haiN ham
Tabeer he jis ki hasrat o gam aye ham nafso! Wo khab haiN
ham
Aye dard pata kuch to hi bata ab tak ye moamma hal na howa
Ham me he dil be tab nihaN ya aap dil be tab ham
main hairat o hasrat ka mara khamosh khada hoN sahil par
daryae muhabbat kehta he ! aa kuch bhi nahiN payab haiN ham
hoja e bakheda pak kaheN pas apne bulayeN behtar he
ab dard e jodai se un ke aye aah! Bahut be tab haiN ham
lakhoN hi mosafir chalet haiN manzil pe pahunchte haiN wo log
aye ahe zamana ! qadr karo ! nayab na hoN kam yab haiN ham
morgan e qafas ko pholoN ne aye shad ye kehla bheja he
aa jawo jo tum ko aana ho aise main abhi shadab haiN ham
0 comments: