Saturday, March 16, 2013

shabnam shakeel ki gazal


GAZAL
SHABNAM SHAKEL
NAME:SHABNAM SHAKEL
Takhallus:    SHABNAM   (…..1939)
Sokhe hont solagti ankheN sarsoN jaisa rang
barsoN bad wo dekh ke muj ko rah jaye ga dang
mazi ka wo lamha mujh ko aaj bhi khon rolaye
akhdi akhdi bateN is ki geroN jaise dhang
taro ban ke dor ofaq par kanpe larze dole
kachi dor se odne wali dekho ek patang
dil ko to pehle hi dard ki demak chat gayi thi
rooh ko bhi ab khata jaye tanhai ka zang
sab kuch de ke hans di aur phir kehne lagi taqder
kabhi na ho gi pori tere dil ki ek omang
shabnam koi jo tujh se hare jit pe man na karna
jet wo hogi jab jeto gi apne aap se jang

0 comments: