GAZAL
ZAUQ
NAME:MUHAMMAD
IBRAHEM
Takhallus: ZAUQ
(1854-1789)
Layi hayat aaye
qaza le chali chale
Apni khoshi se aye na
apni khosi chale
Ho umarekhizar bhi
to ho malom waqte morg
Ham kya rahe yahaN
abhi aye ahi chale
Kam hoN ge is basat
pe ham jaise bad qomar
Jo chal ham chale
so nihayat buri chale
Dunya ne kis ka
rahe fana main diya he sath
Tum bhi chale chalo
yonhi jab tak chali chale
nazaN na ho khirad
pe jo hona he ho wahi
Danish teri na kuch
meri Danish wari chale
Jate hoye shoq main
haiN is chaman se Zooq
Apni bala se baze
saba ab kabhi chale
0 comments: