GAZAL
RIYAZ MAJED
NAME:
RIYAZ UL HAQ TAHER
Takhallus: RIYAZ
(………1942)
Waqt khosh khosh
kante ka mashwarah dete hoye
Ro pada wo aap mujh
ko hosla dete hoye
Is se kab dekhi
gayi thi mere rokh ki mardani
Pher leta thaw o
munh mujh ko dawa dete hoye
Khabe be taber si
socheN mere kis kam ki?
Sochta itna to wo
daste ata dete hoye
Be zubani bakhs di
khud ihtisabi ne mujhe
Hont sal jate haiN
dunya ko gilah dete hoye
Apni rah masdod kar
de ga yahi badhta hojom
Ye na socha har
kisi ko rasta dete hoye
Wo hameN jab tak
nazar aata rha takte rahe
Gili aankhoN okhde
lafzoN se dua dete hoye
Be amaN tha aap
lekin mojiza he ye riyaz
Halae shafaqat tha
is ko aasra dete hoye
0 comments: