Saturday, March 30, 2013

mohabbat intezar e daimi ka naam hai ey dil

romantic gazal


sukun e mustaqil se dil ghbraya to kya hoga
fareb e tark e ulfat bhi na raas aaya to kya hoga
mohabbat intezar e daimi ka naam hai ey dil
koi aaya to kya hoga nahi aaya to kya hoga

ye kaisa mehshar e nau hai na ansi haiN na aheN haiN
sambhal ey ishq agar gham ne bhi thukraya to kya hoga

na kar naaz aye dil e nadaN abhi tark e mohabbat par
naseeb e dushmanaN koi jo yaad aya to kya hoga

gazal bad e jigar ek kashti e benakhuda ki si hai
agar toofan koi aye khumar aaya to kya hoga 

0 comments: