Thursday, March 7, 2013

akbar alahabadi ki gazal


Gazal:
AKBAR ILAH ABADI 
name: sayed akbar Husain
Takhallus: akbar    (1921-1847)
Gamzaah nahiN hota ke isharah nahiN hota
Aankh un se jo milti he to kya kya nahiN hota
Jalwah na ho mana ka to surat ka asar kya
Bulbul gul e taswer ka sheda nahiN hota
Allah bachaye marz e ishq se dil ko
Sunte haiN ke ye aariza acha nahiN hota
Tashbeeh tere chehre ko kya doN gul e tar se
Hota he shaguftah magar itna nahiN hota
main naza main hoN aayeN to ehsan he un ka
lekin ye samajh leN ke tamash nahiN hota
ham aah bhi karte haiN to hojate bad nam
wo qatal bhi karte haiN to charcha nahiN hota

0 comments: