Wednesday, February 20, 2013

nasir kazmi ki gazal Dil main ek lahr si othi he abhi


nasir kazmi ki gazal 
(2)
Dil main ek lahr si othi he abhi
Koi tazah hawa chali he abhi
Shor barpa he khana e dil main
Koi diwar si giri he abhi
Bhari dunya main ji nahiNlagta
Jate kis chiz ki kami he abhi
To sharek e sukhan nahiN he to kya
Ham sukhan teri khamshi he abhi
Yad ke be nishaN jazeroN se
Teri aawaz aa rahi he abhi
Shher ki be charag galiyoN main
Zindagi tujh ko dhondti he abhi
Sogaye log is haweli ke
Ek khidki magar khuli he abhi
Tum to yaro abhi se oth bethe
Shahar main rat jagti he abhi
Waqt acha bhi aaye ga nasir
Gam na kar zindagi padi he abhi

0 comments: