Wednesday, February 20, 2013

nasir kazmi ki gazal Gali gali aabad thi jin se kahaN gaye wo log


Gazal
Poet: Nasir kazimi
(1925-1972)
Gali gali aabad thi jin se kahaN gaye wo log
Dilli ab ke aisi ojdi ghar ghar phela sogh
Sara sara din galiyoN main phirte haiN beaker
ratoN oth oth kar rote haiN is nagri e log
sahme sahme se bethe haiN ragi aur fan kar
bhor bhaye ab in galiyoN main kon sunae jog
jab tak ham masrof rahe ye dunya thi sunsan
din dhalthe hi dhiyan main aaye kaise kaise log
nasir ham ko rat mila tha tanha aur udas
wahi porani bateN is ki wahi purana ragh

0 comments: