romantic poetry
firaq gorakhpuri ki gazal
(3)
Sar main soda bhi nahiN dil main tamanna bhi nahiN
Lekin
is tark e muhabbat ka bharosa bhi nahiN
Dil ki ginti na yaganoN main na beganoN main
Lekin isjalwah geh e naz se othta bhi nahiN
Shikwa e jor kare kya koi is shokh se jo
Saf qael bhi nahiN saf mukar ta bhi nahiN
Meherbani ko muhabbat nahiN kehte aye dost
Aah ab mujh se teri rangish e beja bhi nahiN
Ek muddat se teri yad bhi aai na hameN
Aur ham bhol gaye hoN tujhe aisa bhi nahiN
Aaj gaflat bhi un aankhoN main he pehle se soda
Aaj hi khatir e bimar shakiba bhi nahiN
Aah ye majma e ahbab ye bazm e khamosh
Aaj mehfil main firaq e sukhan aara bhi nahiN
0 comments: