romantic poetry
hazrat firaq gourakhpuri ki gazal
(4)
Kisi ka yoN to hoa kon umar bhar phir bhi
Ye husn o ishq to dhoka he sab magar phir bhi
Hazar bar zamana idhar se guzra he
Nai nai si he kuch teri rahguzar phir bhi
Jhapak rahi haiN zaman o makan ki bhi aankheN
Magar haiN qafile aamadah safar phir bhi
kaheN yahi to nahiN kashif e hayat o mamat
ye husn o ishq bazahir haiN be khabar phir bhi
palat rahe haiN gareb ul watan palatna tha
wo kocha ro kash e jannat ho ghar he ghar phir bhi
kharab ho ke bhi socha kiye tere mehjor
yahi ke teri nazar he teri naar phir bhi
teri nigah se bachne main umar guzri he
otar gaya rag e jaN main ye neshtar phir bhi
sitam ke rang haiN har iltifat e pinhaN main
karm numa haiN tere jor sar basar phir bhi
agar cheh be khudi e ishq ko zamana hoa
firaq karti rahi kam wo nazar phir bhi
0 comments: