Monday, June 13, 2016

waseem barelvi gazal usoolon par jahan aanch aye

waseem barelvi gazal 

usoolon par jahan aanch aye takrana zaroori hai
jo zinda ho to zinda nazar ana zaroori hai
waseem barelvi gazal

waseem barelvi gazal 


nai umron ki khud mukhtarion ko kon samjhaye
kahan se bach ke chalna hai kahan jana zaroori hai

thake har parinde jab baseere ke liye lauten
saleeqa mand shakhon ka lachak jana zaroori hai

mere honton pe apni pyas rakhdo aur phir socho
ke is ke baad bhi dunya me kuch pana zaroori hia

saleeqa hi nahee shayad use mehsoos karne ka
jo kehta hai khuda hai to nazar ana zaroori hai

bohot bebaak ankhon me talluq tik nahee pata
mohobbat me kashish rakhne ko sharmana zaroori hai

-------

me aasman pe bohot deer reh nahee sakta
magar ye baat zamee se to kehnahee sakta

sahara leena hi padta hai mujhe ko darya ka
me ek khatra hun tanha to beh nahee sakta

ye aazmane ke fursat tujhe kabhi miljaye
me aankhon ankhon me kya baat keh nahee sakta

laga ke deekhle jo bhi hisaab ata ho
mujhe ghata ke wo ginti me reh nahee sakta