GAZAL
JURAT
name:SHEK
QALANDAR BAKHS
Takhallus: jurat
(1810-………)
hameN dekhne se wo
jita tha aur ham is par marte the
yahi rateN then aur
bateN then wo din kya guzarte the
wo soz e dil se
bhar lata tha ashk surkh aankhoN main
agar ham ji ki be
cheni se aah e sard bhar te the
kisi dhad ke se
rote the jo baham wosol ki shab ko
wo ham ko mana
karta tha ham is ko mana karte tha
mili rahti then
nazreN galba e olfat se aapas main
na khof us ko kisi
ka than a ham logon se darte the
so ab sad haef is
khorshed ro ke hijr main jurat
yahi raten haiN aur bateN wo din kya guzarte the