Thursday, March 7, 2013

insha ji ki gazal

insha ji ki gazal

GAZAL
INSHA
name:   SAYED INSAH ULLAH KHAN
Takhallus  :  INSHA                              (1817-1756)
Kamar bandhe hoe chalne ko yaN sab yar bethe haiN
Bahut aage gaye baqi jo haiN tayar bethe haiN
Na ched aye nighat bad bahari rah lag apni
Tujhe othkheliyaN so jhi haiN ham bezar bethe haiN
Tasawor aarsh par he aur sar he paye saqi par
Arz kuch aur dhun main is ghadimekhar bethe haiN
Besan naqsh paye rehrawaN koe tamanna main
nahiN othne ki taqat kya kareN la char bethe haiN
ye apni chal he oftagi se ab ke pehroN tak
nazar aya jahaN par saya e diwar bethe haiN
kahaN sabar o tahammol aah nan                   o nam kya she he
yahaN ro pet kar in sab ko ham yakbar bethe haiN
najeboN ka ajab kuch hal he is dor main yaro!
jahaN pocho yahi kehte haiN ham bekar bethe haiN
bhala gardish falak ki chen deti he kise INSHA
ganimat he ke ham sorat yahaN do char bethe haiN

Friday, March 1, 2013

ibn e insha ki gazal Insha ji otho ab Koch karo is shahar me g ko lagana kya

ibn e insha ki gazal Insha ji otho ab Koch karo is shahar me g ko lagana kya

Gazal
Ibne insha
Name:sher Muhammad khan,        takhallus:   insha
(1978-1925)
Insha ji otho ab Koch karo is shahar me g ko lagana kya
Wahshi ko sokon se kya matlab jogi ka nagar main thikana kya
Is dil ke daredah daman ko dekho to sahi so cho to sahi
Jis jholi main so ched hoe is jholi ka phelana kya
Shab beti chand bhi dob chala zanjer padi darwaze par
kyoN der gaye ghar aye ho sajni se karo ge bhana kya
phir hijr ki lambi rat miyaN sanjog ki to yahi ek ghdi
jo dil main he lab par aane do sharmana kya,ghabrana kya
us roz jo un ko dekha he ab khab ka aalam lagta he
us roz jo un se bat hoe wo bat bhi thi afsana kya
is husn ke sachche moti ko ham dekh sakeN par chon a sakeN
jise dekh sakeN par chon a sakeN wo dolat kya wo khazana kya
jab shaher ke log na rostadeN kyoN ben maiN na ja besram kare
dewanoN ki sin a bat kare to aur kare dewana kya