Gazal
ASGAR GONDAWI
name: ASGAR HUSAIN
(1936-1884)
Aalam e
rozgar ko aasaN bana diya
Jo gam hoa ise gam e janaN bana
diyao
yoN muskoraye jan si kaliyoN main
pad gae
yoN lab kusha hoe ke gulistaN
bana diya
aye shekh! Wo baset haqiqat he
kufor ki
kuch qaed o rasm ne jise imaN
bana diya
kuch aag di hawas main to tamer
isqh ki
jab khak kar diya ise irfaN bana
diya
ek barq thi zamer maiN fitrat ke
mojizan
aaj is ko husn o ishq ka samaN bana
diya
majbori e hayat main raz hayat he
zindaN ko main ne rozan e zindaN
bana diya
wo shorisheN nizam e jahaN jin ke
dam se he
jab mukhtasar ky inheN insane
bana diya
ham is nigah e naz ko samjhe the
neshtar
tum ne muskura ke rag e jaN bana
diya
kehte haiN ek fareb musalsal he
zindagi
is ko tabhi waqf hasrat o hirmaaN
bana diya
aalam se bakhabar bhi hoN aalam
main bhi hoN
saqi ne is moqam ko aasaN bana
diya
is husn karobar ko mastoN se
pochiyea
jis ko fareb hosh ne aasiyaN bana
diya