GAZAL
DARD
NAME:
KHAJA MEER
Takhallus: DARD
(1785-1721)
Tohmate chand apne
zimma dhar chale
Jis liye aye the
ham so kar chale
Zindagi he ya koi
tofan he
ham to is jine ke
hathoN mar chale
dosto !dekha tamasha
yaN ka bas
tum raho ab ham to
apne gahr chale
aah !bas ji bahut
jala tab janiye
jab koi afsos tera
is par chale
shama ke manind ham
is bazm me
chashm nam aye the
daman tar chale
ek me dil resh hoN
waisa hi dost
zakhm kitnoN ke
suna he bhar chale
saqya! yaN lag raha
he chal chalawo
jab talak bas chal
sake sager chale
dard kuch malom he
ye log sab
kis taraf se aye
the kidhar chale