Meer taqi meer love and romantic poetry in Urdu and Hindi
Meer taqi Meer was born in agra 1722 and Died in 1810,He wrote Several Books in Urdu,Tazkira Niktatu shuara,Kulliyat e meer taqi meer ,Spent his life in very bad condition so his poetry is the Mirror of his life.
Meer taqi meer postry
Meer Taqi Meer Poetry In Urdu
ab to jate hain but kade se meer
phir milenge gar khuda laya
hamare age jab tera kiso ne naam liya
dil e sitam zada ko ham ne thaam thaam liya
hoga kisi deewar ke saye me pada meer
kya kaam mohabbat se is aram talab ko
eshq ye meer bhari patthar hai
kab ye tujh natawan se uthta hai
mat sehel hameen jano phirta hai falak barson
tab khak ke parde se insaan nikalte hain
meer ham mil ke bohot khush huye tum se pyare
is kharabe me meri jaan tum abad raho
meer ke deen o mazhab ko ab puchte kya ho un ne to
qashqa khencha dair me baitha kab ka tark e islam kiya
patta patta boota boota haal hamara jane hai
jane na jane gul hi na jane bag to sara jane hai
sarhane meer ke ahista bolo
abhi tik rote rote sogaya hai
0 comments: