Monday, June 13, 2016

urdu sher o shayari selected poetry of famous poets

 Best urdu sher o shayari Collection 

selected poetry of famous poets


allama iqabal 
khudi ko kar balan itna ke har taqdeer se pehle
khuda bande se khud puche bata teri raza kya hai

nigah e ishq o masti me wahi awwal wahi akhar
wahi quran wahi furqan wahe yaseen wahi taha

mitade apni hasti ko agar kuch martaba chahy
ye dana khak me milkar gul o gulzar hota hai

Mirza ghalib
urdu sher o shayari
urdu sher o shayari 
natha kuch to khuda tha kuch na hota to khuda hota
doboya mujh ko hone ne nahota main to kya hota

hazaron khahishen aisi ke har khahish pe dam nikle
bohot nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle

nikalna khuld se adam ka sunte aye hain lekin
bade be abru hokar tere kuche se ham nikle

Meer taqi meer
ehd e jawani ro ro kata
peeri me lin ankhen mond
yani raat bohot jage the 
subah hui aram kiya

faani badayuni
abaya yaad aye aram e jaaN is namuradi me
kafan dena bhole the ham saman e shadi me 

firaq gorakhpuri
marne ke duayen kya mangun
jene ki tamanna kaun kare
ye dunya ho ya wo dunya
ab dunya dunya kon kare

Taigh alahabadi
inhin pattharon pe chal kar agar asako to aao
mere ghar ke raste me koi kehkeshan nahee hai

Makhdoom mohuiddin
yaad ke chand dil me utarte rehe
chandni jagmagati rahi raat bhar

Munavvar rana

is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai 
maaN bohot gusse me hoti hai to re deti hai 

Maahir ul qadri
dil ke benoor charagon ko ziya di jaye
yani hamsaye ki qindeel bujha di jaye
chaukhatte qabar ke khali hai unhen mat bhoolo
jane kab konsi tasweer lagadi jaye

shakeel badayuni
Dunya ne tajrubaat o hawadis ki shakal me 
jo kuch mujhe diya hai wahi lauta raha hun main





0 comments: