rubaiyat of omar khayyam Urdu translation from persian
ek subah ye maikhane se awaz ayi
aye rind e kharabat sun aye saudai
uth aur sharab se pyala bhar le
bharne se pyala mera pehle bhai
--
do din ki ye mohlat hai piyo tum maye naab
dobara nahee ayega ye daur e sharab
maloom hai dunya hai ye mail bafana
nashe me raho tum bhi shab o roz kharab
--
har roz maye naab piyunga saqi
men gharqh gunahon me rahunga saqi
tauba ki na hoti hai na hogi taufeeq
ho bhi to me toba na karunga saqi
---
khayyam gunahon pe ye matam kaisa
isyan pe ye ranj mere hamdam kaisa
jis ne na khata ki use na bakhsha gaya
bakshish to gunahon pe hai phir ye gham kaisa
Read Also
(y)
ReplyDeleteWhat about other rubaayiat?
ReplyDelete