Monday, April 1, 2013

ek takhayyul hai jo mohtaj e bayaN rehte hai urdu gazal

romantic urdu poetry
gazal
by naresh kumar shad

ek takhayyul hai jo mohtaj e bayaN rehte hai
hai wo husn jo benaam o nishaN rehta hai
sab jise dushman e jaan kehte haiN wo dard tera
Khoon ban kar meri rag rag me rawan rehta hai

yaad aajati hai jab tere tabassum ki hameN
deer tak dil me charagaN ka samaN rehta hai

tere dewane ke charche bohot haiN lekin
tera dewana khuda jane kahaN rehta hai

shad ye dil ka fasana bhi fasana hai ajab
jo bayaN ho ke bhi muhtaj e bayaN rehta hai

0 comments: