Friday, March 22, 2013

yas yagana changezi ki gazal


GAZAL
YAS YAGANA CHANGEZI
NAME:WAJED HUSAIN
Takhallus:YAS WEGANAH             (1956-1884)
Mujhe dil ki khata par YAS sharmana nahiN aata
Paraya jurm apne nam likhwana nahiN aata
Mujhe aye nakhuda aakhir kisi ko munh dekhana he
Bahana kar ke tanha par otr jana nahiN aata

Musebat ka pahad aakhir kisi din kat hi jae ga
Mujhe sar mar kar teshe se mar jana nahiN aata
Dil be hosla he ek zarasi these ka mehmaN
Wo aanso kya piye ga jis ko gam khana nahiN aata
Sarapa raz hoN main kya batawoN kon hoN kya hoN
Samajhta hoN magar dunya ko samjhana nahiN aata






0 comments: