Friday, March 8, 2013

tabish kanpuri ki gazal


GAZAL
TABISH KANPORI

Teri sorat nigahoN me phirti rahe ishq tera sataye to main kya karoN
Koi itna aakar baatade hameN jab teri yad aaye to main kya karoN
Me ne khak e nasgeman k obo se diye aur keh kar ye dil ko samjha liya
aashiyaN banana mera kam tha koi bijli giraye to main kya karoN
me ne mangi thi ye masjidoN main dua main jise chahta hoN wo mujh ko mile
jo mera farz tha main ne pora kiya ab khuda hi na chahe to main kya karoN
na lage jam pe hath ye sharth he jaye jo mekade ko wok am zarf he
mujh ko tohmat na do main sharabi nahiN wo nazar se pilayeN to main kya karoN
ishq iman donoN main me tafreq he par onhi donoN pe mera iman he
jo khuda roth jaye to sajde karoN aur sanam roth jaye to main kya karoN

0 comments: