GAZAL
SHAHZAD AHMAD
NAME:SHAHZA
AHMAD
(……..1932)
Chop ke aalam main wo tswer si sorat us ki
Bolti he to badal jati he rangat us ki
Aankh rakhte ho to is aankh ki tahrer padho
Munh se iqrar na karna to he adat us ki
He abhi lams ka ehsas mere hontoN par
Sabt pheli hoi bahoN pe hararat us ki
Wo agar jab hi choki he to na ankheN kholo
Abhi mahsos kiye jawo rafaqat us ki
Wo kabhi aankh bhi jhapke to laraz jata hoN
Mujh ko is se bhi ziyada he zarorat us ki
Wo kaheN jan na le reet ka tela hoN main
Mere kandhoN pe he tamer imarat us ki
Be talab jina bhi Shahzada talab he is ki
Zinda rehne ki tamanna bhi shararat us ki
0 comments: