Monday, March 11, 2013

jigar moradabadi ki gazal


GAZAL
JIGAR MURAD ABADI 
name: ALI SIKANDAR
 Takhallus:  JIGAR  
(1960-1890)
Dunya ke sitam yad na apni hi wafa yad
Ab mujh ko nahiN kuch bhi muhabbat ke siwa yad
Cheda tha jise pehle pahal teri nazar ne
Ab tak he woe k nagma be saz o sada yad
Kya lutf ke main apna pata aap batawoN
Kijiye koi bholi hoi khas apni ada yad
Jab koi haseN hota he sar garam e nawazish
Is waqt wo kuch aur bhi aate haiN siwa yad
Kya janiye kya ho gaya arbab e jonoN ko
Marne ki ada yad na jine ki ada yad
Muddat hoi ek hadisa ishq ko lekin
Ab tak he tere dil ke dhadakne ki sada yad

0 comments: