Sunday, March 31, 2013

husn par ishq e guman hai aaj

gazal

ek haseen mujh pe meherbaan hai aaj
hosh me khab ka saaman hai aaj 
dil badi muddatoN me dhadka hai
phir ragoN me lahu rawaN hai aaj

zauq e sajda ne lihai angdai
sar ko phir fikr e aastaN hai aaj

naaz me hai niyaz ka aalam
husn par ishq e guman hai aaj

ishq ne tod di hai apni sipar
husn be teer o be kamaan hai aaj

ye samaN kal badl na jaye khumar
khahish e marg e nagahaN hai aaj 

0 comments: