GAZAL
HASAN RIZWI
NAME:SAYED
HASAN RIZWI
Takhallus :
HASAN (2002-1946)
Kabhi kitaboN main
phol rakhna kabhi darakhtoN pe nam likhna
hameN bhi he yad
aaj tak wo nazar se harfe islam likhna
wo chand chehre wo
behki bateN solagte din the mehki rateN
wo chote chote se
kagazoN par mahabbatoN ke payam likhna
gulab chehroN se
dil lagana wo chupke chupke nazar milana
wo aarzowoN ke khab
banna wo qissae natamam likhna
mere nagar ki haseN
fazawo !kaheN jo un ka nashan pawo
to pochna ye kahaN
base wo kahaN he un ka qiyam likhna
kholi fizawoN main
sans lena abas he ab to ghatan he aisi
ke charoN janib
shajar khade haiN saleb sorat tamam likhna
gaye rotoN main
hasan hamara bas ek hi to ye mashgalah tha
kise ke chehre ko
sobah kehna kisi ki zolfoN ki sham likhna
0 comments: