GAZAL
FARHAT
ABBAS SHAH
To ne dekha he kabhi ek nazar sham ke bad
Kitne chop chap se lagte haiN shajar sham ke bad
Itne chop chap ke raste bhi raheN ge la ilm
Chod jaeN ge kisi roz nagar sham ke bad
Mai ne aise hi gina teri jodai main kiye
Jaise tofan main koi chod de ghar sham ke bad
Sham se pehle wo mast apni odanoN main raha
Jis ke hatoN main the tote hoye par sham ke bad
Rat beti to gine aable aur phir socha
Kon tha baes aagaz safar sham ke bad
To he soraj tujhe malom kahaN rat ka dokh
To kisi roz mere ghar main otar sham ke bad
Loot aye na kisi roz wo awarah mizaj
Khol rakhte haiN isi aas pe dar sham ke bad
0 comments: